Friday 26 October 2012

1920 - Evil Returns (2012) All Songs Lyrics

01. Apna Mujhe Tu Laga Song Lyrics Details

Song Title : Apna Mujhe Tu Laga
Music Director : Chirantan Bhatt
Lyrics : Shakeel Azmi
Singer(s) : Sonu Nigam
Song Duration (mm:ss) : 06:03


Apna Mujhe Tu Laga Lyrics

Anjaane ho tum jo
Begane ho tum jo
Pehchane lagte hai kyun
Tum ghehri neendon mein
Jab soye soye ho
Toh mujh mein jaagte ho kyun

Jab tujh ko pata hai dil muskurata hai
Kya tujhse hai vasta
Kya tujh se dhoondon mein
Kya chahu main
Kya kya hai tujh mein mera

Jaanu na main
Tujh mein mera
Issa hai kya..
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga

Aankhon ne aankhon se kahi, dasta..
Tumko bana ke rajuda..
Baahon mein jannat aa rahi, hasunuma..
Tum jo hue ho mehraban..

Jism se jism ka
Kyun utaruf hua
Ho gaye hum sanam
Ruh tak asina

Aa ek zara jo chale
Do kadam saath mein
Mil gaya hai hume
Zindagi.. ka pata

Jaanu na main
Tujh mein mera
Issa hai kya..
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga

Jaanu na main
Tujh mein mera
Rista hai kya..
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga..

02. Uska Hi Banana Song Lyrics Details


Song Title : Uska Hi Banana
Music Director : Chirantan Bhatt
Lyrics : Manoj Yadav
Singer(s) : Arijit Singh
Song Duration (mm:ss) : 05:28


Uska Hi Banana Lyrics

Meri kismat ke
Har ek panne pe
Mere jeete ji
Baad marne ke
Mere har ek kal
Har ek lamhe mein
Tu likh de mera use

Har kahani mein
Saare kisson mein
Dil ki duniya ke
Sacche rishton mein
Zindagani ke
Saare hisson me
Tu likh de mera use

Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana
Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana

Uska hoon us mein hoon usse hoon usi ka
Rehne de..
Main toh pyasa hoon hai dariya wo zariya woh jeene
Ka mere
Mujhe ghar de gali de shehar de usi ke
Naam ke
Kadam yeh chalen ya ruken ab usi ke
Vaaste
Dil mujhe de agar
Dard de uska par
Uski ho woh haseen
Gunje jo mera ghar

Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana
Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana

Mere hisse ki khushi ko haseen ko tu chahe
Aadaha kar..
Chahe lele tu meri zindagi par ye mujhse
Vaada kar
Uske ashkon pe gumon pe dukhon pe har uske
Zakhm par
Haq mera hi rahe har jagah har ghadi haan
Umar bhar
Ab fakht ho bas yahi
Woh rahe mujh mein hi
Woh juda kehne ko
Bichdde na par kabhi

Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana
Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana

Meri kismat ke
Har ek panne pe
Mere jeete ji
Baad marne ke
Mere har ek kal
Har ek lamhe mein
Tu likh de mera use

O… aye khuda
Aye khuda khuda khuda
O… khuda..

03. Khud Ko Tere Song Lyrics Details

Song Title : Khud Ko Tere
Music Director : Chirantan Bhatt
Lyrics : Shakeel Azmi
Singer(s) : Mahalakshmi Iyer
Song Duration (mm:ss) : 05:07


Khud Ko Tere Lyrics

Tum bhi tanha the
Hum bhi tanha the
Milke rone lage

O..tum bhi tanha the
Hum bhi tanha the
Milke rone lage
Ek jaise the dono ke gum
Dagaa hone lage

Tujhme muskurate hain
Tujhme gungunaate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain
Tere hi khyalon mein
Doobe doobe jaate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain

Thode bhare hain hum
Thode se khaali hain
Tum bhi ho uljhe se
Hum bhi sawaali hain

Kuch tum bhi kore ho
Kuch hum bhi saare hain
Ek aasmaan par hum
Do chand aadhe hain
Kam hai zameen bhi thodi
Kam asmaan hai
Lagta adhoora
Tum bin har jahaan hai

Apni har kami.. mein hum
Ab tujhe hi paate hain
Khud ko tere pass hi
Chhod aate hain

Jitni bhi viraani hai
Tujhse hi sajate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain

Do raaz milte hain
Hum raaz bante hain
Sannate aise hi..
Awaaz bante hain

Khamoshi mein teri
Meri sadaayen hain
Meri hatheli mein
Teri duayein hain
Ek saath tera ho toh
Sau manzile ho..
Tanhai teri
Meri mehfile hon

Hum teri nigahon se
Khud mein jhilmilate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain
Tujhse apni raaton ko
Subah hum banate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain..

04. Jaavedaan Hai Song Lyrics Details

Song Title : Jaavedaan Hai
Music Director : Chirantan Bhatt
Lyrics : Shakeel Azmi
Singer(s) : K.K. & Suzanne D'Mello
Song Duration (mm:ss) : 05:48

Jaavedaan Hai Lyrics

Ho.o.. ho.ovu..o..

Karta hoon tujh mein din guzar main
Karta hoon tujh mein sab basar
Karta hoon tujh mein hi shehar mein
Jeeta hoon tujhko dekh kar

Dil tere bin thehra sa hai
Tu dhadkanon ka hai safar
Kaaton bara har rasta
Phoolon ke hai tu reh guzar

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jano dil ke
Darmiyan hai darmiyan tu haan..
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujh mein hi dil
Ud raha hai aasmaan tu haan..

Ho.o.. ho.vu..o..

Sath tera jabse hai mujhko mila
Waqt ki shakhon pe  hai har pal khila
Zindagi se ab nahi koi gila
Jitna hai tu utna hoon main
Na kuch zyada na hoon kam
Tujhse hi shuru hota hoon main
Hota hoon tujhpe hi khatam

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jano dil ke
Darmiyan hai darmiyan tu haan..
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujh mein hi dil
Ud raha hai aasmaan tu haan..

Maine tujhko is tarah se hai jiya
Aandhiyon mein jaise jalta hai diya
Ishq se har fasle ko thai kiya
Hoke juda humse khafa
Lamhe wo sare kat gaye
Tum mil gaye banke subah
Jo the andhere haat gaye

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jano dil ke
Darmiyan hai darmiyan tu haan..
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujh mein hi dil
Ud raha hai aasmaan tu haan..

Darmiyan…
Aasmaan tu haan..

05. Majboor Tu Bhi Kahin Song Lyrics Details

Song Title : Majboor Tu Bhi Kahin
Music Director : Chirantan Bhatt
Lyricist : Shakeel Azmi
Singer(s) : Amit Mishra
Song Duration (mm:ss) : 04:52


Majboor Tu Bhi Kahin Lyrics


Kehta Hai, Hai Zindagi Tu
Kyun Mujhmein Phir Milta Nahi
Deta Hai Aisa Safar Kyun
Hai Manzile Jinki Nahin

Kehde Khuda.. Hai Kaisa Khuda Tu
Jo Bus Mein Tere Kuch Nahi
Han Koi To Vajah Hogi Jo Yun
Hai Majboor Tu Bhi Kahin

Jitna Talashu Tu Milta Nahi
Yeh Fitrat Teri Tu Badalta Nahi
Jitna Talashu Tu Milta Nahi
Yeh Fitrat Teri Tu Badalta Nahi
Tu Bata, Aise Kyun
Teri Marzi Chalata Hai Tu
Jeete Ji Yun Jalata Hai Tu

Ishq Mein Jeene Na De Tu
Aur Marne Bhi Deta Nahi
Kehta Hai, Hai Humsufur Tu
Phir Saath Kyun Deta Nahi
Kya Hai Khafa, Hai Ya Bewafa Tu
Jo Sunta Meri Kuch Nahi
Haan Koi To Vajah Hogi Jo Yun
Hai Majboor Tu Bhi Kahi

Kehde Khuda.. Hai Kaisa Khuda Tu
Jo Bus Mein Tere Kuch Nahi
Han Koi To Vajah Hogi Jo Yun
Hai Majboor Tu Bhi Kahin

No comments:

Post a Comment