Lyricist: Prasoon Joshi
Singers: Keerthi Sagathia and Ram Sampath
Production House: Aamir Khan Productions Pvt. Ltd.
Music: T-Series
Tere rang aisa chadh gaya
Koi aur rang na chadh sake
Tera naam seeney pe likha
Har koi aake padh sakey
Hai junoon hai junoon hai
Tere ishq ka ye junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta
Yeh bawra sa khoon hai
Tune hi sikhaya sachai oo ka matlab
Tere paas aake jaana maine zindagi ka maksad
Satyamev, satyamev, satyamev jayate
Scha hai pyaar tera, satyamev jayate
Tere noor ke dastoor mein
Na ho salwatein na shikan rahe
Meri koshishein toh hai bas yaheen
Rahein khushbooein gulshan rahe
Teri zulf suljhaney chala
Terey aur paas aaney chala
Jahan koi sur na ho besura
Woh geet main ganey chala
Tere rang aisa chadh gaya
Tha nasha jo aur bhi badh gaya
Teri barishon ka karam hai ye
Main nikhar Gaya main sanwar gaya
Jaisa bhi hoon apna mujhey
Mujhey ye nahin hain bolna
Kabil tere main ban sakoo
Mujhey dwaar aisa kholna
Sanson ki iss raftaar ko
Dhadkan ke iss tyohaar ko
Har jeet ko har haar ko
Khud apney iss sansaar ko
Badloonga main tere liye
Mujhey khud ko bhi hai tatolna
Kahin hai kami to hai bolna
Khahin dag hain toh chupayein kyon
Hum sach se nazrein hatayein kyon
khud ko badalna hai agar
Badloonga main tere liye
Sholon pe chalna hai agar
Chal doonga main tere liye
Mere khoon kee har boond main
Sankalp ho tere pyaar ka
Kato mujhey to too bahe
Ho surkh rang har dharrrr ka
No comments:
Post a Comment