Friday, 1 June 2012

Teri Meri Kahani (2012) Movie Song Lyrics


Song Title: Mukhtasar
Music Director: Sajid Ali, Wajid Ali
Lyricist: Prasoon Joshi
Singer(s): Wajid Ali

Mukhtasar mulaakat hai
Ankahi koi baat hai
Phir raat ki, shaitaniyaan
Ya alag, yeh jazbaat hai
Mukhtasar mulaakat hai
Ankahi koi baat hai
Ankahi koi baat hai

Mukhtasar mulaakat hai
Ankahi koi baat hai
Phir raat ki, shaitaniyaan
Ya alag, yeh jazbaat hai

I can't control this feeling
Don't know whats going on
But I wanna let go, oo woo

Mausam yeh kehta hai
Bheege andheron mein
Dubki lagaatein hain aa
Par mujhko lagta hai
Main rok loon khudh ko
Ehsaas hai, yeh naya
Kya hua, main hoon bekhabar
Hai naya sa, suhaana asar
Jeet hai ya maat hai
Mukhtasar mulaakat hai
Ankahi koi baat hai

Yeh toh suna thaa
Ke kuch aisa hota hai
Par mujhko bhi, ho gaya
Meri toh duniya, bilkul alag thi
Andaaz woh, kho gaya
Dekhna doobna ho gaya
Doobna tayrna ho gaya
Kya asar mere saath hai
Mukhtasar mulaakat hai
Ankahi koi baat hai
Phir raat ki, shaitaniyaan
Ya alag, yeh jazbaat hai

Song Name: Allah Jaane
Film/Album: Teri Meri Kahaani
Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan
Music Director: Sajid-Wajid
Lyricist: Prasoon Joshi
Length: 5:25
Music Label: Eros


Mere dil pe fateh lehraane
Meri rooh ko bhigaane
Da da sa sa re sa..

Mere dil pe fateh lehraane
Meri rooh ko bhigaane
Yeh noor kahan se aaya
Iss baat ko allah jaane
Jaane, allah jaane
Jaane, maula jaane
Iss baat ko allah jaane

Mere dil pe fateh lehraane
Meri rooh ko bhigaane
Yeh noor kahan se aaya
Iss baat ko allah jaane
Jaane, allah jaane
Jaane, maula jaane
Iss baat ko allah jaane
Iss baat ko maula jaane

Dagmaga ne laga hai
Guroor bhi sharabi ho gaya
Mitt gayi, meri hasti
Koi husn inqalabi ho gaya
Phir che kuch teer chalaane
Ghayal kar de nazraane
Yeh dard kahan se aaya
Iss baat ko allah jaane
Jaane, allah jaane
Jaane, maula jaane
Iss baat ko allah jaane
Iss baat ko maula jaane

Allah jaane haye
Maula jaane
Allah jaane hoye
Maula jaane
Allah jaane

Kuch toh mila hai, aaj hawa mein
Saanson mein ghungroo, kaise khananan
Aasman hai pairon ke neeche
Warna zameen pe kaise neela pann
Haar ke jeetne ka silsila mil gaya
Jannatein mil gayi ya khuda mil gaya
Aa rubaru mere rubaru
Kya noor hai mere rubaru
Iss baat ko allah jaane
Iss baat ko maula jaane

Mere dil pe fateh lehraane
Meri rooh ko bhigaane
Yeh noor kahan se aaya
Iss baat ko allah jaane
Jaane, allah jaane
Jaane, maula jaane
Iss baat ko allah jaane

Song Name: Jabse Mere Dil Ko Uff
Film/Album: Teri Meri Kahaani
Singer(s): Sonu Nigam, Sunidhi Chauhan
Music Director: Sajid-Wajid
Lyricist: Prasoon Joshi
Length: 4:41
Music Label: Eros

Jabse mere dil ko uff
Tujhpe marna aa gaya
Sabko chehre padhna aa gaya
Sabko iss shehar mein chehre padhna aa gaya
Jabse mere dil ko tujhpe marna aa gaya
Toh aa aa aa aa bhi ja
Na na nazrein chura
Yeh zamana bhi dekhe zara

Jabse mere dil ko uff
Tujhpe marna aa gaya
Sabko chehre padhna aa gaya
Sabko iss shehar mein chehre padhna aa gaya
Jabse mere dil ko tujhpe marna aa gaya
Toh aa aa aa aa bhi ja
Na na nazrein chura
Yeh zamana bhi dekhe zara
Jabse mere dil ko uff

Arrey re re re..
Khullam khullam mushkurah
Zulf jhatak ke aa zara
Main hi main hoon aur bas, tu hi tu

Aa gup-chup gup-chup ab nahin
Chup chup chup ab nahin
Chidne do ab khul ke guftagu
Khwaabon mein mujhko yakeen ab karna aa gaya
Sabko iss shehar mein chehre padhna aa gaya

Toh aa aa aa aa bhi ja
Na na nazrein chura
Yeh zamana bhi dekhe zara
Jabse mere dil ko uff

Hoo..
Seekh hai ya tehzeeb hai
Aji sharam bhi koi cheez hai
Nazre jhukaane mein hai ik adaa

Hoo..
Bas yahi nakhre hai tere
Hosh udaa de hai mere
Meri nahin hain iss mein kuch katha
Pyaar kar di toh phir kyun darna aa gaya
Sabko iss shehar mein chehre padhna aa gaya

Toh aa aa aa aa bhi ja
Na na nazrein chura
Yeh zamana bhi dekhe zara

Jabse mere dil ko uff
Tujhpe marna aa gaya
Sabko chehre padhna aa gaya
Sabko iss shehar mein chehre padhna aa gaya
Jabse mere dil ko tujhpe marna aa gaya
Toh aa aa aa aa bhi ja
Na na nazrein chura
Yeh zamana bhi dekhe zara

Aa aa aa aa bhi ja
Na na nazrein chura
Yeh zamana bhi dekhe zara
Jabse mere uff

Song Name: Humse Pyaar Kar Le Tu
Film/Album: Teri Meri Kahaani
Singer(s): Wajid, Mika Singh, Shabir Bro & Shreya Ghoshal
Music Director: Sajid-Wajid
Lyricist: Prasoon Joshi
Length: 5:43
Music Label: Eros

Oo teri aankhon ka qaidi hoon
Mohabbat kaam hai mera (waah waah, waah waah)
Hoon aashiq yeh khata meri
Ke Javed naam hai mera (waah waah, kya baat hai Javed bhai)

Arrey tu hosh mein aaja
Ke jo bhi naam hai tera
Nahin maloom hai tujhko
Ke kya anjaam hai tera
Tu yeh bhi bhool jaayega
Ke Javed naam hai tera

Uske banaye har haseen chehre se ishq karna hai
Uske banaye har haseen chehre se ishq karna hai
Aakhir marne ke baad kal usko muh bhi toh dikhana hai

Teri aankhon ka qaidi hoon
Mohabbat kaam hai mera
Hoon aashiq yeh khata meri
Ke Javed naam hai mera
Teri aankhon ka qaidi hoon
Mohabbat kaam hai mera
Hoon aashiq yeh khata meri
Ke Javed naam hai mera

Arrey tu hosh mein aaja
Ke jo bhi naam hai tera
Nahin maloom hai tujhko
Ke kya anjaam hai tera
Tu yeh bhi bhool jaayega
Ke Javed naam hai tera

Arrey aake aazma le hume
Haan aake aazma le hume
Ho jaayegi aashiq tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar humse pyaar
Giraftaar karle tu
Humse pyaar karle tu
Humse pyaar karle tu
Humse pyaar, humse pyaar
Giraftaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu

Nasha karta hoon aankhon se
Haseeno ka nashedi hoon
Bina chhue bhi peeta hoon
Main thodi cheez tedhi hoon - 4 times

Haan meri nazron ke qaidi ki
Zamanat bhi nahi hoti
Jo dil hum todh de unki
Marammatt bhi nahin hoti - 3 times

Gunaahon ka yeh mausam hai
Hai besharmi ki rutt aayi
Gunaahon ka yeh mausam hai
Hai besharmi ki rutt aayi
Sharafat dheere se boli
Lo hoke main bhi dhut aayi

Arrey aake aazma le hume
Ho jaayegi aashiq tu
Humse o humse o humse
Oh humse pyaar kar le tu
Giraftaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu
O humse

Chalo maana tu mere ishq mein paagal deewana hai
Chalo maana teri hasrat mere aur paas aana hai
Magar yeh maan lo kaise, tera ikraar saccha hai
Mujhe kaise yakeen aaye, ke tera pyaar saccha hai
Tera pyaar saccha hai, tera pyaar saccha hai

Tu qaatil hai toh aa ja na mujhe bhi qatl kar de tu
Tu zaalim hai toh aa ja na mujhe bhi zakhm de de tu
Hai tera husn agar talwaar, tole pesh seena hai
Magar seenay ke andar bhi dhadakta ik nagina hai
Dhadakta ik nagina hai, dhadakta ik nagina hai

Ho bacha ke rakh tu yeh jazba
Ke tere kaam aayenge
Bacha ke rakh tu yeh jazba
Ke tere kaam aayenge
Jo tu bhi pee sake iss mehfil mein woh bhi jhaam aayenge

Haan aake aazma le hume
Ho jaayegi aashiq tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar humse pyaar
Giraftaar karle tu
Humse pyaar karle tu
Humse pyaar karle tu
Humse pyaar, humse pyaar
Giraftaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu
Humse pyaar kar le tu

Song Name: Thats All I Really Wanna Do
Film/Album: Teri Meri Kahaani
Singer(s): Shaan, Shreya Ghoshal
Music Director: Sajid-Wajid
Lyricist: Prasoon Joshi
Length: 3:59
Music Label: Eros


All day, so lost in love
Just can’t, can’t get enough
Wooaa
All day, so lost in love
Each and every moment every minute every day
Just can’t, can’t get enough
Wanna always be together never go away

Dekhun tujhe, choo lo tujhe, sochun tujhe, sonu tujhe
Bas yunhi tujh mein dooba rahun
Dooba rahun dooba dooba rahun
Main tujh mein hi tujh mein dooba rahun
Thats all I really wanna do - 4 times

Dekhun tujhe, choo lo tujhe, sochun tujhe, sonu tujhe
Bas dil tujh mein dooba rahe
Dooba rahe dooba dooba rahe
Dil tujh mein hi tujh mein dooba rahe
Thats all I really wanna do - 8 times

Pehle mein tujhse milta tha
Ab main tujh mein khulta jaaun
Khwaabon mein agar haath badao
Haath tera paao
Haan khushboo ke jaise mujhe odh le tu
Har khayal mahekta ho
Ehsaas leke tere saath ka
Har lamha sarakta ho
Dooba rahun dooba dooba rahun
Main tujh mein hi tujh mein dooba rahun
Thats all I really wanna do - 4 times

Kya yeh chalta kya hua hai
Do kinaare mil rahe hain
Sang sang hum paaniyon pe chal rahe hain
Neendhe nahin hai yeh main aa raha hoon
Aane do leharane do
Saanson se teri main judne laga hoon
Khwaishein bann jaane do

Dooba rahe dooba dooba rahe
Dil dooba dooba rahe
Thats all I really wanna do...

No comments:

Post a Comment